Bachpan

Feb 24, 2009 10:05

Bachpan ke wo din thay suhaane
Jaane kahaan gaye wo zamaane

Akkad bakkad mei mazay jo aatay
Video games mei ab kahaan wo hotey
sabkey sang khelte jo holi,kabhi wo khelna aankh micholi
Jab kabhi aati thi diwali,sab ghar jaati bachchon ki toli
Ab kabhi tyohar jo aaye,mushkil se hi milta hai koi
Jaane kahaan wo din ab hoye,sab apni duniya mei khoye

Wo terrace par pakdam pakdi aur kabhi ho luka chhupi
Wo building mei chhilam chilli,aaj wo sab jaane kahaan hai hoti
wo seediyon pe ABCD khelna,kabhi kabhi toh statue bhi banna
aaj to sab yaadon mei hai,jaane kahaan sab khel wo ab hain.

Wo sabke sang teacher teacher khelna,aaj to apni teacher ki hi na sunna
Wo sabke sang school bus mei jaana,ab apni hi caaron mei jaana
Wo sabke sang apne book label baantna,aajkal to bas kuch bhi na bataana
Wo sabko lunch box khilaana,aajkal bus uski design dikhaana
Wo jab sab sang milkar thay padtay,aaj bus oonche numberon ke liye ladtey
Wo sab saath dekhte thay ramayan,aaj to sirf dikhta hai nickelodeon
Wo sabke saath mazay jo hotay,aaj sab apne gharon mei hi hotay
Wo sabke ghar mei hoti birthday party,aajkal bade bade hall mei hi hoti

Jaane kahaan gaye wo zamaaney
Bachpan ke jo din thay suhaaney
Previous post Next post
Up