Feb 26, 2009 10:36
Beta ab toh wapas aa ja
Baagon mei kaliyaan bula rahi hain
Raste mei jo bhi aaye nadiyaan
Wo bhi ab toh pukaar rahi hain
Beta ab toh wapas aaja
Beta ab toh wapas aaja
Shehar ki galiyaan bula rahi hain
Ped pe baithi hai jo chidiya
Wo bhi ab toh pukaar rahi hain
Beta ab toh wapas aaja
Beta ab toh wapas aaja
Behne teri bula rahi hain
Rakhi ke tyohaar pe khaali
Kursi bhi ab toh pukaar rahi hain
Beta ab toh wapas aaja
Beta ab toh wapas aa ja
Maa teri ab dekhe rasta
Roz roz aankhon mei aansoon
Dekhna chaahein hum usko hansta
Beta ab toh wapas aaja
Beta ab toh wapas aaja
Hogaya baap bhi ab tera budhaa
Marne se pehle mere ek baar toh
Mujhko apni shakal dikhaaja
Beta ab to wapas aaja
==============RAKHEE==============