Oct 24, 2009 09:16
Few dAys Back, While browsing .. I FounD thiS masterpieCe Written By Sahir Ludhiyanvi. Must Read !
AI SHAREEF INSAANO-N
Khoon apna ho ya paraya ho
Nasl-e Adam ka khoon hai aakhir
Jung mashriq may ho ke maghrib may
Aman-e alam ka khoon hai aakhir
Bum ghro-n per giray ke sarhad per
Roh-e taameer jukham khaati hai
Khait aapne jalay kay auron kay
Zeest faaqo se tilmillati hai
Tank aagay badhay ke peechay hatay
Khok dharti ki bhanjh hoti hai
Fatha ka jushen ho ke haar ka sog
Zindagi maiyaton pe roti hai
Jung to khud hi ek mas-ala hai
Jung kiya mas-alon ka hul day gi
Aag aur khoon aaj bukhshay gi
Bhook aur ahtiyaaj kal day gi
Is liye ai shreef insaano
Jung talti rahe to behtar hai
Aap aur hum sabhi ke aangan may
Shamma jalti rahay to behtar hai
Bertari ke sooboot ke khatir
Khoo-n bahaana hi kiya zaroori hai
Ghar ki taareekyaa-n mita-nay ko
Ghar jalaana hi kiya zaroori hai
Jung ke aur bhi to mai-daan hai
Sirf mai-daan-e kusht-o khoon hi nahi
Haasil-e zindagi khirad bhi hai
Haasil-e zindagi junoo-n hi nahi
Aao is teerah bukhat duniya may
Fiker ki roshni ko aam karay
Aman ko jin se taqweeyat pohnchay
Aisi jungo-n ka ahtmaam karay
Jung wahshut say barbariyat say
Aman tahzeeb-o-irtaqaa ke liye
Jung marg aafree-n siyaasat say
Aman-o -insaan ki baqaa ke liye
Jung aflaas aur ghulaami say
Aman behtar nizaam ki khaatir
Jung bhutki huwi qiaadut say
Aman be-bus awaam ki khaatir
Jung sarmaaye ke tasal-loot say
Aman jamhoor ki khooshi ke liye
Jung, jungo-n ke fulsafay ke khilaaf
Aman pur aman jindagi ke liye
Think!
Laters thn !